Tuesday, 14 February 2012

KAHAN GAYE WOH DIN









Lamhe woh sunhere ab sath ho na ho,
Aaj me guzre kl jaise baat ho na ho,
Yaadon ke woh haseen lamhe dil me rahenge,
Tamaam umar chahay mulaqaat ho na ho.

Woh yaaron ka hr baat pe chidhana,
Joke maarne pr PJ keh kr hansi udana,
Kisi bhi topic pr taang khichanaa,
Na mile to faaltu ka hi hans dena.

Kaha krta tha
Yaar, ye chaar saal phir wapas na aaye kabhi,
Dereg. hone ka dr phir na sataye kabhi,
Ab un dino ki yaadein jam gyi hai dil me,
Kaash phir se woh chaar saal laut aaye abhi.

Kya din the woh college ke,
Hr baat pe kehte, chal party de,
Kabhi exams me Ex lane ki party,
To kabhi birthday me laat khane ki party.

Aaj jb bhi yaad aate hain woh lamhe,
Ro padta hun,
Meri hr kavita pr kehna, kahan se tapa, 
Ladki pe line mt maar, warna khaoge lapa,
Ab nhi milti woh saugaat,
Nhi sunayi deti, kis girlfriend ho rhi hai baat.
 
Haare hone pr bhi hausalaa dilana,
Jitney pr hall tempo shout krna aur karwana,
Kabhi mujhe master to kabhi bm-bm bulana,
Kabhi sota rahun to laatein maar kr uthana.

Nhi deti sunayi ab woh OP waali gaalian,
Nhi aata woh maza, woh juniors ko daatana
Ab to dar sirf is baat ka lgta hai yaaron,
Dusre rishton ki bhid me dosti kho na jaye pyaaron.

Kaise guzar gye woh din, woh lamhe
Kahan chali gyi woh dosti, woh yaari
Ab to nhi milta woh saath, woh humdardi,
Nhi milta woh yaarana, woh wafadaari
Nhi milta woh yaarana, woh wafadaari……..

---------------------------------*--------------------------------------*-----------------------------------

No comments:

Post a Comment