Saturday, 29 October 2011

Zindagi Ka Safar


Kitna ajib zindagi ka safar nikla
Saare jahan ka dard apna mukaddar nikla,
Jiske naam zindagi ka hr lamha kr diya
Wo hi meri chahat se bekhabar nikla.

Sochta hun kya hota zindagi ka
Wo na aati agar is jahan mein, magar
Sb kuch badal gaya, jb se sanam
Darwaza mere dil ka tod nikla.

Kl ka kya bharosa, jisne
Pehle bhi dard diya aur aage bhi dega,
Uski ek haan sunne ki aas me
Mai kitni dur ja nikla.

Din bitate gaye, raat dhalti gayi
Magar dil se uska dard nhi nikla,
Bhulane ki kitni bhi koshish ki
Magar uske gam me aaj tk
Ek boond bhi aansu nhi nikla.

2 comments: